Sundar Komal Sapno Ki

Sundar komal sapno ki raat guzar gae jaana
Dhoop ankho tak aa ponchi ha raat guzar gae jaana


boht samay tak jis ne humein uljhay rakha
Wo albeli resham jesi baat guzar gae hai jaana


Sada ki dekhi raat humein jo mili to chupke se
Khaalu haath pe rakh ke kya augat guzar gae ha jaana


Kis konpal ki aas mai ab tak wese hi sarsabz ho tum
Ab to dhoop ka mausam ha barsaat guzar gae jaana


Log na jaane kin raaton ki muraaden manga karty hain
Apni raat to wo jo tery saath guzar gae jaana..

No comments:

Post a Comment