Aj ke din na pucho mere dosto
Dur kitne hain khushiyan manane ke din
Khul ke hansne ke din geet gane ke din
Pyar karne ke din dil lagane ke din
Aj ke din na pucho mere dosto
Zakhm kitne abhi bakht-e-bismil main hain
Dasht kitne abhi rah-e-manzil main hain
Teer kitne abhi dast-e-qatil main hain
Dur kitne hain khushiyan manane ke din
Khul ke hansne ke din geet gane ke din
Pyar karne ke din dil lagane ke din
Aj ke din na pucho mere dosto
Zakhm kitne abhi bakht-e-bismil main hain
Dasht kitne abhi rah-e-manzil main hain
Teer kitne abhi dast-e-qatil main hain
Aj ke din zubun hai mere dosto
Aj ke din to yun hai mere dosto
Jaise dard-o-alam ke purane nishan
Sab chale su-e-dil kearwan karwan
Hath sine pe rakho to har ustakhwan
Se uthe nala-e-al'aman alaman
Aj ke din to yun hai mere dosto
Jaise dard-o-alam ke purane nishan
Sab chale su-e-dil kearwan karwan
Hath sine pe rakho to har ustakhwan
Se uthe nala-e-al'aman alaman
Aj ke din na pucho mere dosto
Kab tumhare lahu ke darida alam
Farq-e-khurshid-e-mahshar pe honge raqam
Az karan ta karan kab tumhare qadam
Le ke uthega wo bahar-e-khun yam-ba-yam
Jis dil main dhul jayega aj ke din ka gam
Sare dard-o-alam sare jaur-e-sitam
Dur kitani hai khurshid-e-mahshar ki lau
Aj ke din na pucho mere dosto
Kab tumhare lahu ke darida alam
Farq-e-khurshid-e-mahshar pe honge raqam
Az karan ta karan kab tumhare qadam
Le ke uthega wo bahar-e-khun yam-ba-yam
Jis dil main dhul jayega aj ke din ka gam
Sare dard-o-alam sare jaur-e-sitam
Dur kitani hai khurshid-e-mahshar ki lau
Aj ke din na pucho mere dosto