Gharat Gar E Tehzeeb K Hathon Main Watan Hay

Gharat gar e tehzeeb k hathon main watan hay
Har soo mray ghar aah-o-baka, ranj o mihan hay

YaaN nafs paraston ki hawas ka hay ye aalam
Rastay main pari na'sh bhi be-gor o kafan hay

Har simt darindon ko mili choot hay aesi
lagnay laga aasaib zada daar o rasan hay

Hum aaj tamaddun say nazar kesay milaayin!
Be-aabro tehzeeb ka uryaaN jo badan hay

Kam-zarf ki hoti hay nazar takht e shahi par
Ye daikh k sharminda boht koh o daman hay

Ik simt laho rang hua zeest ka maqtal
ik simt sukhan-war hein, ba-een rang e sukhan hay

Khushyon ki bahar aaye, muqaddar main nahi hay
Gaity pe abhi noha kunan sar -wo-saman hay

Kaj-fehmi-e-halaat ko kehtay hein hunar ye
Andher hay! khursheed kahein jis ko , Kiran hay

No comments:

Post a Comment