Raat ki wiranyon mein jaam o jam hain tum nahi
Sath mere hamqadam dard o alam hain tum nahi
Tum se kis ne kah dia keh tum se hai meri hayat
Meri sari zindagi mere hi dam hain tum nahi
Kis ke dam se ronaqein hain me kade mein saqya
Raqs mein aakhir talak baqi to hum hain tum nahi
In ke dam se raat din zindah hain meri mefilein
Dard o gham runj o alam mere sanam hain tum nahi
Tum ne jana hai to jao mein ne roka to nahi
Mere fun ki sab adayein mera gham hain tum nahi
Aaj kehna hi pare ga is se yeh ja kar naweed
Zindagi ki dharkanon mein zer o bam hain tum nahi.

No comments:
Post a Comment