Subah Ka Jharna, Humesha Hansne Wali Aurten

Subah ka jharna, humesha hansne waali aurten
Jhutpute ki nadiyaan, khaamosh gehari aurten.

Sadkon, baazaaron, makaanon, daftron mein raat din
Laal, peeli, sabz, neeli, jalti bujhti aurten.

Shehar mein ek baagh hai aur baagh mein taalaab hai,
Tairti hai uss mein saaton rang waali aurten.

Saikadon aisi dukaanen hai jahan mil jaayengi,
Dhaat ki, patthar ki, sheeshe ki, rabar ki aurten.

In ke andar pak raha hai waqt ka aatish-fishaan,
Ki pahaadon ko dhake hai barf jaisi aurten. !!

No comments:

Post a Comment