Woh Shaakh Hai Na Phool

Woh shaakh hai na phool agar titliyaan na hon,
Woh ghar bhi koi ghar hai jahan bachchiyan na hon.

Palkon se aansuon ki mehak aani chahiye,
Khaali hai aasmaan agar badliyaan na hon.

Dushman ko bhi khuda aisa makaan na de,
Taaza hawa ki jis mein kahin khidkiyaan na hon.

Main poochhta hun meri gali mein woh aaye kyon,
Jjis daakiye ke paas teri chitthiyaan na hon. !!

No comments:

Post a Comment