Taluk Is Tarha Tora Nahi Krty

Taluk is tarha tora nahi krty
Kay phir se jorna doshwar ho jay
Hayat ek zehar mainn dobi hui talwar ho jay
Mohabat is tarha chora nahi krty

Khafa hony ki rasmen hn
Bigarny ke tareeqy hain
Riwaj-o-tark-e-rasm-e-dosti p so kitaben hain
Rawadari ka her giz rasta chora nahi kertay
Taluk is tarha tora nahi krty

Kabi bulbul guloon ki khamoshi se roth jati hai
Per agly sal sab kuch bhol ker phir lot ati hai
Sabi bhanwron ko gul herjai kehtay hain
Mgar thori si zid kay baad bandhan khol detay hain
Mohabt mn sabi ik dosry ko azmaty hn
Mgar aesa nahi kertay

Kay her umeed her imkan mit jay
Kahan tak khenchni hai door ye andaza rakhty hain
Hamesa char diwari mn ik darwaza rakhty hain
Judai mustakil ho jay
To ye zindagi zindan ho jay
Agar khushboo hawaoon s marisim monkita ker lay
To khud mn toot ker be jan ho jay
Suno
Jeeny se mon mora nahi krty
Mohabt is tarha chora nahi krty

3 comments: