Sisakte Aab Mein Kis Ki Sada Hai

Sisakte Aab mein kis ki sada hai,
Koi dariya ki teh mein ro raha hai.

Savere meri in aankhon ne dekha,
Khuda chaaron taraf bikhra hua hai.

Sameto aur seene mein chhupa lo,
Ye sannaata bahut faila hua hai.

Pake genhoon ki khusboo cheekhti hai,
Badan apna sunehara ho chala hai.

Haqeekat soorkh machhli jaanti hai,
Samandar kaisa burha devta hai.

Humari shaakh ka nau-khez patta,
Hawa ke honth aksar choomta hai.

Mujhe un neeli aankhon ne bataaya,
Tumhaara naam paani par likha hai. !!

No comments:

Post a Comment