Ye Naam Mumkin Nahin Rahega

Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,
Ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam mumkin nahin rahega.

Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
Lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam mumkin nahin rahega.

Tum apni saanson se meri saansein alag toh karne lage ho lekin,
Jo kaam aasaan samajh rahe ho woh kaam mumkin nahin rahega.

Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
Khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.

Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
Toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam mumkin nahin rahega.

Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
Duaayen toh khair kaun dega salaam mumkin nahin rahega . !!

No comments:

Post a Comment