Bachpan Ke Dukh

Bachpan ke dukh bhi kitnay achay thai
Tub tou sirf khilonay toota kartay thai

Woh khushiyan bhi na janay kaisi khushiyan thin
Titli ke par noch ke uchla kartay thai

Chotay thai tou makr o fraib bhi chotay thai
Dana daal ke chiriya pakra kartay thai

Paaon mar ke khud baarish ke paani main
Apni kashti aap daboya kartay thai

Ab tou ik aansu ruswa kar jata hai
Bachpan main tou jee bhar ke roya kartay thai

No comments:

Post a Comment