Jo Mausam Beet Jata Hai

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
Kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

Yahan anay ko tou har din kissi ke saath ata hai
Jesay iss dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

Wo jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istaara thi
Tou phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

Bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
Hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

Kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
Tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

Bhatakta phir raha hoon din ke iss weran jangal mein
Mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

No comments:

Post a Comment