Hum Kaise Pagal Hotey Thay

Hum kaise pagal hotey thay
Aik phool ko chunay ke khaatir
Kaanton se zakhmi hotay thay
Jo phool jhooli main aa girtaa
Ussay chunnay se dar jaatey thay
Hum kaise pagal hotay thay
Kay dhundalay aaino main apna
Hum aks sa dhoonda kartey thay
Aur kirchiyaan chataktay aaino ki
Muthi main daba kar rakhtey thay
Hum kaise pagal hotey thay
Jab sarak per chalna hota tha
Hum kashti lay kar chaltey thay
Aur beech bhanwar janay ke liye
Hum paidal nikla kartey thay
Hum kaise pagal hotey thay
Jab barish barsa karti thi
Hum chatri main chup jaatey thay
Aur jalti dhoop main nanggay Sir
Hum chhat per uchla kartey thay
Hum kaise pagal hotey thay
Jab pass bohat woh hota tha
Hum us ko dekh na saktey thay
Jab door chala jaata tha woh
Hum aahat us ki suntey thay
Hum kaise pagal hotey thay
Jab sari duniya soti thi
Hum chand se khaila kartey thay
Jab sari duniya jaag uthti thi
Hum phir thak kar so jatay thay
Hum kitney pagal hotey thay
Hum kaise pagal hotey thay
Hum aaj bhi waise chanchal Hain

3 comments:

  1. After 11 Year I m here to read this..Seriously Myn aj b vesa pagal hoon...

    ReplyDelete
    Replies
    1. 2003 me last time me ney ye poem suni thee aj yad aaee tu search ki. And I found it. Nice one

      Delete