Main Aisi Mohabbat Karti Hoon (Female)

Tum jab bhi ghar par aatay ho
Aur sab say batain kartay ho
Main aut say parday ki janan
Bus tum ko dekhti rehti hoon
Ik tum ko dekhnay ki khatir
Main kitni pagal hoti hoon
Main aisi mohabat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Jab darwazay par dastak ho
Ya ghanti phone ki bajti ho
Main chor k sab kuch bhagti hoon
Aur tum ko jo na paoon to
Ii bhar k ronay lagti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Mehfil main kaheen bhi jana ho
Kapron ka selection karna ho
Rang bohat say samnay bikhray hoon
Us rang pe dil aa jata hai
Jo rang k tum ko bhata hai
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Rozana apnay college main
Kisi aur ka lecture suntay hoay
Ya break k khali ghantay main
Sakhyoon say batain kartay hoay
Meray dhiyan main tum aa jatay ho
Main, main nahin rehti phir janan
Main tum main gum ho jati hoon
Bus khuwabon main kho jati hoon
Un aankhon main kho jati hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Jis chehray par bhi nigha paray
Her chehra tum sa lagta hai
Wo sham ho ya ke dhop samay
Sab kitna bhala sa lagta hai
Janay ye kaisa nasha hai
Garmi ka tapta mosam bhi
Jaray ka maheena lagta hai
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Tum jab bhi samnay aatay ho
Main tum say sunn na chahti hoon
Kash kabhi tum ye keh do
Tum mujh say mohabbat kartay ho
Tum mujh ko bohat hi chahtay ho
Lekin janay tum kyun chup ho
Yeh soch k dil ghabrata hai
Aisa to nahin hai na jana
Sirf meri nazar ka dhoka ho
Tum nay mujh ko chaha hi na ho
Koi aur hi dil main rehta ho
Main tum say poochna chahti hoon
Main tum say kehna chahti hoon
Lekin kuch pooch nahin sakti
Mana ke mohabbat hai phir bhi
Lab apnay khol nahin sakti
Main larki hoon kaisay keh doon
Main kaisi mohabat karti hoon
Main tum say ye kaisay pochoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho
Chup chap see main…ho jati hoon
Phir dil main apnay kehti hoon
Main aisi mohabbat karti hoon
Tum kaisi mohabbat kartay ho

No comments:

Post a Comment