Jo Madina hum bhi jaate to kuch aur baat hoti 
Wohi raah bhool jaate, to kuch aur baat hoti
Ye hawa ke mast jhoke jo iram se aarahe hai 
Yehi Taybah hoke aate, to kuch aur baat hoti
Meri aankh jab bhi khulti teri rehmato se Aaka 
Tujhe saamne jo paata, to kuch aur baat hoti
Muje zehr dene wale bare kam nazar hai Aaka 
Tere naam par pilaate to, kuch aur baat hoti
Mein Madine ko gaya tha ye bara sharaf hai lekin 
Wohi dam jo toot jata to, kuch aur baat hoti
Ye sitaaron ka tabassum hai nazar nawaaz lekin 
Mere Aaka muskuraate, to kuch aur baat hoti
Duniya ke gham mein yeh jo mere aansoo behrahe hai 
Tera gham agar rulaata, to kuch aur baat hoti
Ye jo Naat-e Paak Bekal mehfil mein par rahe hai 
Yehi Taybah mein sunaate, to kuch aur baat hoti
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
 
No comments:
Post a Comment