Lab pe Naate Paak ka naghma kal bhi ta aur aaj bhi he 
Meri Nabi se mera rishta kal bhi ta aur aaj bhi he 
Past who kaise hosakta he jis ko Haqq ne buland kiya 
Dono jahan me Un ka charcha kal bhi ta aur aaj bhi he 
Aur kissi jaanib kyu jaa?e aur kissi ko kyu dekhe 
Apna sub kuch Ghumbade Khazra kal bhi ta aur aaj bhi he 
Fikr nahein he hum ko kuch bhi dukh ki dhoop ghari to kya 
Hum par unke fazl ka saaya kal bhi ta aur aaj bhi he 
Batla do Ghustaaq Nabi ko ghairat Muslim zinda ho 
Deen pe mar mitne ka jazba kal bhi ta aur aaj bhi he 
In ke Dar se sub ho aaye jaana saka to ekh Sabhi 
Ye ke ekh Tasweer tamanna kal bhi ta aur aaj bhi he
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
 
No comments:
Post a Comment