Shaam Se Aaj Saans Bhari Hai

Shaam se aaj saans bhari hai
Beqarari hai, beqarari hai
Aap ke baad har ghadi hum ne
Aap ke saath hi guzari hai



Sehma sehma dara sa rehta hai
Janay kiyun ji bhara sa rehta hai

Ishq main aur kuch nahin hota
Aadmi baawra sa rehta hai

Aik pal daikh loon tau uthta hoon
Jal gaya sab, zara sa rehat hai

Chaand jab aasmaan pe aa jaye
Aap ka aasraa sa rehta hai