Waqt Na Jaane Zamane Ko Kahan

Waqt na jaane zamane ko kahan le jaega
Hum to ruk jaaenge lekin waqt chalta jayega


Kaun chalta hai sada sung karwan e waqt ke
Har musafir thak ke koi rah pe ruk jayega


Zindagi wo khawab hai tootega jab uth jaaenge
Mout ki aaghosh mein jab har bashar so jayega

Kya mohabbat kya khushi kya dosti kya dushmani
Waqt ka sab khel hai aur sab khatm ho jayega

Sochta hoon main janaza dekh ker jaate hue
Ik kafan hi hai mera jo saath mere jaayega

No comments:

Post a Comment