Main Girrah Mein Bandh Kay Haadsat

Main girrah mein bandh kay haadsat,nikal para teri khoj mein
Kahin tarkol ki thi sarak jahan aag bant-ti dhoop thi
Kabhi kachi rah ki dhool mein jahan saans laina muhaal tha
Sir-e-rizm-e-jaan kabhi dil kay dard say haar ker
Main to khanqaoon pay mangta phira man-ntain
Kabhi raat raat basar duaoo'n main ho gaee
Kabhi qaaflay mairee aas kay kisi dasht-e-yaas main kho gay
Mara pairhan tha phata howa kahin gard gard atta howa


Main adhooray pan kay saraab main
Tujhay dhondta phira dar badar
Kisee ajnabi kay diyaar main
Koi dukh mila kisee mod pay,koi gham mila kisi chok main
Kisi rah guzar kay sakoot main koi dard aa k dara giya
Kabhi chal para,kabhi ruk giya,kisi kashmakash k ghubar mein


Mujhay kia mila tairay piyar mein
Main girrah main bandh k haadsat
Kahin gum howa teri khoj main!!

No comments:

Post a Comment