Pindaar K Khogar Ko Nakaam Bhi

Pindaar k khogar ko
Nakaam bhi deakho gay?
Aaghaaz se waqif ho
Anjaam bhi deakho gay?


Rangeeni_e_duniya se
Mayood sa ho jana
Dukhta howa dil lay kar
Tanhaai main kho jana
Tarsi howe nazroon ko
Hasrat se jhuka layna
Faryaad k tukroon ko
Aahoun main chupa layna


Raatoun ki khamoshi main
Chup kar kabhi ro layna
Majboor jawani k
Malboos ko dho layna


Jazbaat ki wasa"t ko
Sajdoun se basa layna
Bholi howe yaadoun ko
Seenay se laga layna

No comments:

Post a Comment