Taj Nagma Hain Mohabbat Ke

Taj nagma hain mohabbat ke dhadakte saaz ka
Yeh hai woh aaina jisme aks hain mumtaz ka


Mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
Phir aa ki annkhon se guzra hua kal dekha


Miltey hi nigaahon main sau rang lage khilne
Tu meri mohabbat hain mujhse yeh kaha dil ne
Aai jaan tujhe maine jab pehle pehle dekha
Mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
Phir aaj ki annkhon se guzra hua kal dekha


Jab leke tu angdai kuch aur karib aayi
Daman main mohabbat ke simti meri tanhai
Ek noor ki baarish main bheega hua pal dekha
Mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
Phir aaj ki annkhon se guzra hua kal dekha


Yeh hasti hui aankhein lehrate hue kesu
Hagma teri khamoshi aawaz teri jadoo
Main ne teri baaton main andazzae ghazal dekha
Mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
Phir aaj ki annkhon se guzra hua kal dekha


Main ne teri aankho ka ek khwaab sajaya hain
Tasverein wafa bankar jo samne aaya hain
Tune hi nahi isko mumtaz mehal dekha
Mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
Phir aaj ki annkhon se gujra hua kal dekha

No comments:

Post a Comment