Ab Wo Aankhoon Ke Shagufay

Ab wo aankhoon ke shagufay hain na chehroon ke gulaab
Aik manhoos udasee hai ke mitti hi nahi
Itni bay rang hain yeh rang ki khugar aankhain
Jaisy is shehr-e-tamanah say koi rabth na tha
Jaisy dekha tha sarab
Dekh layta hoon agar koi shanasa chehra
Aik lamhay ko usey dekh ke ruk jata hoon
Sochta hoon ke berhoon oor koi baat karoon
Us say tajdeed-e-mulaqaat karoon
Lakin us shaks ki manoos guraizaan nazrain
Mughko ehsas delatee hain k ab us k leay
Main bhi anjaan hoon aik aam tamashaee hoon
Rah chaltay hwey in doosray logoon ki terha

No comments:

Post a Comment