Tum mere pas raho
Mere qatil, mere dildar, mere pas raho
Jis ghari rat chale
Asmanon ke lahu pi kar siyah rat chale
Marham-e-mushk liye nashtar-e-almas chale
Bain karti hui, hansti hui, gati nikle
Dard k kasani pazeb bajti nikle
Kis ghari sinon main dubate huye dil
Astinon main nihan hathon ke rah takne nikle
Is liye
Aur bachon ke bilakne ki tarah qul-qul-e-may
Bahr-e-nasudagi machle to manaye na mane
Jab koi bat banaye na bane
Jab na koi bat chale
Jis ghari rat chale
Jis ghari matami, sun-san, siyah rat chale
Pas raho