Aiye Hath Uthayen Ham Bhi

Aiye hath uthayen ham bhi
Ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
Ham jinhen soz-e-mohabbat ke siwa
Koi but, koi khuda yad nahin

Aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
Zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
Wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
Unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de

Jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
Unki raton main koi shama munawwar kar de
Jin ke qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
Unki nazron pe koi rah ujagar kar de

Jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
Himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
Jin ke sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
Dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile

Ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
Aj iqrar karen aur tapish mit jaye
Harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
Aj izhar karen or khalish mit jaye