Bahar ai to jaise ek bar
Laut aye hain phir adam se
Wo khoab sare, shabab sare
Jo tere honthon pe mar mite the
Ho mit ke har bar phir jiye the
Nikhar gaye hain gulab sare
Jo teri yadon se mushkbu hain
Jo tere ushshaq ka lahu hain
Laut aye hain phir adam se
Wo khoab sare, shabab sare
Jo tere honthon pe mar mite the
Ho mit ke har bar phir jiye the
Nikhar gaye hain gulab sare
Jo teri yadon se mushkbu hain
Jo tere ushshaq ka lahu hain
Ubal pare hain azab sare
Malal-e-ahaal-e-dostan bhi
Khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
Gubar-e-khatir ke bab sare
Tere hamare
Saval sare, javab sare
Bahar ai to khul gaye hain
Naye sire se hisab sare
Malal-e-ahaal-e-dostan bhi
Khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
Gubar-e-khatir ke bab sare
Tere hamare
Saval sare, javab sare
Bahar ai to khul gaye hain
Naye sire se hisab sare