Ata Hai Yaad Mujh Ko

Ata hai yaad mujh ko guzara hua zamana
Wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana


Azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
Apni khushi se ana apni khushi se jana


Lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
Shabnam ke anson par kaliyon ka muskurana 


Wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
Abad jis k dam se tha mera ashiyana