Sach kah dun ay brahman gar tu bura na mane
Tere sanam kadon ke but ho gaye purane
Apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
Jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi khuda ne
Tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
Waiz ka waz chora, chore tere fasane
Patthar ki muraton mein samjha hai tu khuda hai
Khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai
Aa gairat ke parde ik bar phir utha dein
Bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den
Suni pari hui hai muddat se dil ki basti
Aa ik naya shiwala is des mein bana den
Dunya ke tirathon se uncha ho apna tirath
Daman-e-asman se is ka kalas mila dein
Har subah mil ke gayen mantar wo mihe mihe
Sare pujariyon ko mai pit ki pila dein
Shakti bhi shanti bhi bhakton ke git mein hai
Dharti ke basiyon ki mukti prit mein hai