Dasht-e-Tanhai Main Ay Jan-e-Jahan

Dasht-e-tanhai main ay jan-e-jahan larza hai
Teri avaz ke saye tere honthon ke sarab
Dasht-e-tanhai main duri ke khas-o-khak tale
Khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulab
Uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
Apni khushbu main sulagti hui madham madham
Dur ufaq par chamakati hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
Us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai
Dil ke rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath
Yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq
Dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat

No comments:

Post a Comment