Mohabbat ki tabiyat main
Ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai
Ke jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
Ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
Yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
Nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
Hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
Use izhar ke lafzon ki hajat phir bhi rahti hai
Mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
Ke jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
Aur shab main baura uthe
Zamin ko khod kar dekhe
Ke paudha ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
Ke ye iqrar ke lafzon ko sunane se nahi thakati
Bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
Ise bas ek hi dhun hai
Kaho mujh se mohabbat hai
Kaho mujh se mohabbat hai
Kuch aisi besakuni hai wafa ki sarzaminon main
ke jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
ke jaise phul main Khsuhbu ke jaise hath main tara
ke jaise sham ka tara
Mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
Gumanam ke shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
Ye ain visal main bhi hijr ke khadshon main rahti hai
Mohabbat ke musafir zindagi jab kat chukte hain
Thakan ki karachiyan chunte wafa ki ajarakn pahne
Samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
To koi dubati sanson ki dori tham kr
Dhire se kahta hai
Ke ye sach hai na
Hamari zindagi ik dusare ke nam likhi thi
Dhundhalaka sa jo ankhon ke qarib-o-dur phaila hai
Isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
Mohabbat ki tabiyat main
Ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai