Abhi Zid Na Kar Dil-e-Be Khabar

Abhi zid na kar dil-e-be khabar!
Ke pas-e-hajoom-e-sitam garaan
Abhi kon tujh se wafa kare
Abhi kis ko fursatein hein iss qadar
Ke samait kar teri kirchiyaan
Tere haq main khud se dua kare
Abhi zid na kar dil-e-be khabar
Ke tah -e- ghubaar-e-gham-e-jahaan
Kahan kho gaye tere chaara gar
Ke raah -e- hayaat main rayegaan
Kahan so gaye tere hamsafar
Abhi gham gusaaron ki chott seh
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh
Abhi zid na kar mere be nawaa
Kabhi yun bhi ho ke sarr-e-ufaq
Tere dukh ka chaand damak utthay
Koi tees khud se chamak utthay
Kisi sheher-e-zakhm-e-farosh main
Koi zakhm khud se khareed kar
Sabhi aks khud se khurach kabhi
Kisi aayeine par na deed kar
Kabhi yun bhi jashn-e-tarab manaa
Kabhi iss tarah se bhi eid kar.



No comments:

Post a Comment