Har Baar Mere Saamane

Har baar mere saamane aati rahi ho tum
Har baar tum se mil ke bichrrta raha hooN main
Tum kaun ho ye Khud bhi nahi jaanati ho tum
Main kaun hoon ye Khud bhi nahi jaanata hooN main
Tum mujh ko jaan kr hii parri ho aazaab mein
Or is tarah Khud apani sazaa ban gayaa hoon main

Tum jis zameen par ho main us ka Khudaa nahi
Bas sar bazar aziiyat-o-aazaar hi raho
Bezaar ho gai ho bahut zindagi se tum
Jab bas mein kuch nahi hy to bezaar hi raho
Tum ko yahaaN ke saayaa-e-paratau se kiya Garz
Tum apne haq mein beech ki dewaar hi raho

Main ibtadaa-e-ishq mein bemahar hi raha
Tum intahaa-e-ishq ka miyaar hi raho
Tum Khoon thokatii ho ye sun kar Khushi hoi
Is rang is adaa mein bhi pur_kaar hi raho

Main ne ye kab kaha tha k muhabbat mein hai najaat
Main ne ye kab kahaa tha k vafadaar hi raho
Apni mataa-e-naaz luTaa kr mere liye
Bazaar-e-iltafaat mein nadaar hi raho

Jub main tumhy nishaat-e-muhabbat na de saka
Gam mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
Jub mere sare charaaG-e-tamanna hawa ke hain
Jub mere sare Khwaab kisi bewafaa ke hain
Phir mujhy chahany ka tumhy koi haq nahi
Tanhaa karahany ka tumhy koi haq nahi!!!

No comments:

Post a Comment