Bol ke lab azad hain tere
Bol zaban ab tak teri hai
Tera sutawan jism hai tera
Bol ke jan ab tak teri hai
Dekh ke ahangar ke dukan main
Tund hain shole surkh hai ahan
Khulne lage quflon ke dhane
Phaila har ek zanjir ka daman
Bol ye thora waqt bahot hai
Jism-o-zaban ke maut se pahle
Bol ke sach zinda hai ab tak
Bol jo kuch kahna hai kah le
Bol zaban ab tak teri hai
Tera sutawan jism hai tera
Bol ke jan ab tak teri hai
Dekh ke ahangar ke dukan main
Tund hain shole surkh hai ahan
Khulne lage quflon ke dhane
Phaila har ek zanjir ka daman
Bol ye thora waqt bahot hai
Jism-o-zaban ke maut se pahle
Bol ke sach zinda hai ab tak
Bol jo kuch kahna hai kah le